Zakaat ki date par sowne ki qeemat ke hisaab se zakaat dena

Q: Mere pass gold hai or me zakat December ke end me nikalta hu lakin me ne is saal gold per zakat June me nikaal dee the us waqat gold ki value 48000 thousand per tola the lakin current value 66000 hai. Kiya mujhe ab 66000 thousand ke hisaab se ab zakat ada karnee pare ge ya mere zakat ho gayee?

A: Aap ki zakaat date par jo gold ki qeemat he, usi hisaab se aap ko chahiye ke aap apni zakaat ada kare. Lihaaza aap ki zakaat date par hisaab lagaaw aur jo kuch kami he us ko ada kare. Zakaat ki date qamari maheene ke mutaabiq hoga ne ke shamsee maheene ke mutaabiq.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)