Qubooliyat ki alaamat

Q: Jaise Hajj ki adaige kay bad har insan gunahon se paak hojata he jaise peadish kay waqat. Pochna ye tha keh umrah ki adaige kay bad bhi aisi koi hukam moojod he ya nahi aur umrah ki qaboliyat ki kya aalamat hain?

A: Achche amaal karne se chote gunaaho ki maafi hogi. Bare gunaho ko maaf karane keliye dil se taubah karna dharoori he.

Achche amaal ki qubooliyat ki alaamat ye he ke us amal ke bad tumhare andar Allah Ta`ala ki yaad, tawaadhu aur apne faraaidh wa dharooriyyaat ka ada karne ka ziyaadah se ziyaadah ihtimaam aur ghalat aur mushtabah kamo se door rehna.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)