Namaaz me Makkah Mukarramah ya Madinah Munawwarah ki tasweer dekhna

Q: Agar Makkah ya Madina Sharif ki tasweer saamne ya daai aur baai jaanib ho to kiya namaz parhna makrooh-e-tahreemi he?

A: Nahi. Namaaz durust hogi. Lekin namaaz ke doraan Makkah Mukarramah aur Madinah Muawwarah ki tasweer ko na dheke. Behtar ye he ke qibla ke diwaar me na rakha jaaye, balke daai ya baai jaanib me rakha jaaye.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)