Qunoot-e-naazilah jumuah namaaz me parhna

Q: Agar Imaam Saheb jumuah ki doosri rakaat me qaumah me qunoot-e-naazilah- parhaade to kiya jumuah ki namaaz hojaayegi ya phir se parhni hogi?

A: Jumuah ki namaaz hojayegi lekin qunoot-e-naazilah jumuah ki namaaz me parhna durust nahi he. Fuqaha ne likha ke qunoot-e-naazilah sirf Fajr ki namaaz me parhi jayegi jab musalmaano ke upar aam ibtilaa ho dushmano ki taraf se.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)