Us larke se shaadi karna jis ka tumor he

Q: Meri shaadi ke liye ek proposal aaya he. 2.5 saal pehle hum saath kaam karte the. Hum ne ek doosre ko kabhi is nazar se nahi dekha na kabhi shaadi ka socha.

5th January ko uski taraf se shaadi ka proposal aaya he. Uski family bohot achi or cooperative he. Is Ramzaan hamara nikaah chahte he. Dono families ko koi objection nahi is shaadi se. Ek problem hai, teen ya chaar saal se us larke ke nose me tumor he jis ki wajah se kabhi kabhi usse saans lene me problem hota he. Hafta ya 10 days mai 1-2 dafa saans ka problem hota he. Koi medicine nahi leta khud thek hojata he. Doctor ne operation ka kaha he magar sath yeh bhi bataya he ke tumor again barhta he. Wo larka operation nahi chahta he kyun ke:

1. Tumor phir se barh jana he

2. Uska face kharab hojaega

3. Filhaal usse koi khaas masla nahi ho raha he

Is se meri family ko abhi tak is baat ka nahi pata. Shayed yeh jaan ke meri family is proposal ko na karde. Is baat pe mera yaqeen he ke marna jeena Allah ke ikhtiyaar me he magar mera sawal yeh he ke kiya sirf is bemaari ki wajah se is rishte ko inkaar karna thek he? Kyun ke is bimaari ke alawah baaqi sab thek he is proposal me. Me bohoot confused hu, please mujhe bata ye ke kiya karun? 

A: Agar aap ye samjhe ke is kamzori ke bawajood nibaah hogi uske saath to koi baat nahi. Aur agar aap samjhe ke nibaahna mushkil he to apne ghar waalo ko bataade.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)