Jaan booj kar chowre huwe namaazo ka qaza karna

Q: Ek ghair muqallid ke clip me suna ke woh keh rahe the ke namaaz qaza hona alag cheez hai aur qaza karna alag cheez hai. To qaza huwi namaaz parhe aur jaan booj kar qaza kardi huwi namaaz na parhe dua maghfirat kare. Kiya ye sahi he?

A: Ghalat keh raha he. Khandaq me namaaz choot gayi qasdan aur uski qadha ki gayi.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)