Jaghra ke ba'd Quraan Shareef le kar maafi maangna

Q: Baz dafa yu hota he ke log pehle to jaghra kar lete he phir bad me mafi maangne aate he aur Quraan Paak ko dhaal bana kar aate he ke Quraan Paak le aaya hu ab galatiya maaf kardo.

Kiya Islam me is cheez ki ijaazat he ke aap pehle galati kare phir Quraan Paak ko hamrah le ja kar galati maaf karwa de? 

A: Quraan Shareef hamrah lene ki koi zaroorat nahi. Asal dil ki nadaamat he aur ahd Khuda Ta`ala ke saath karni he ke aaindah aysi harkat kabhi nahi karega.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)