Shohar ki behne biwi par jhoote ilzaam lagaana

Q: Agr shohar ki behno ko har thori arse bad apne bhai ki biwi pe jhooti ilzaam lagane ke bad ye khwahish ho ke ab unka bhai apni biwi se kahe ke meri behno se mafi mango aur un ko mano ke wo apne bhai ke ghar aya jaya kare aur agar us shakhs ki biwi ye kahe k mujh pe jhoote ilzaam bhi inho ne lagaye he ab ulta maafi bhi me hi mango aur is pe us shakhs ki behne usko majboor kare ke tum kaise mard ho jo apni biwi sy hum se maafi nahi mangwa sakte or humare aage jhuka nahi sakti aisi soorat me biwi ko kiya karna chahiye jab ke wo is sare mamle me zehni or jismani tor par bhi bimaar ho chuki ho.

A: Zaahir baat he ke jab aap par jhoota ilzaam lagaya to jisne ilzaam lagaya woh zaalim he. Zaalim to taubah aur maafi maangna chaahyie.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)