Bimaar shakhs namaaz kaise parhe

Q:

1. Meri ammi jinki umar taqriban 68 saal ke he unke qabz ki wajah se letrin ki jagah zakham ho gaye he jisse unke bethne me takleef hoti he to kiya wo lete lete namaz, Quran Sharif parh sakti he?

2. Is bimari ki wajah se unka wuzu rah nahi pa raha to namaz qaza ho rahi h to kiya wo tayammum kar sakti he agar ha aur kiya tayammum me kapra se kar sakte he?

A:

1. Agar beth kar koi takyah ko rakhdiya jaaye to behtar hoga aur agar ye bhi na ho to dekho ke guthno ke bal khari kar namaaz parh sakti he.

2. Agar woh mazoor he, yani har waqt najaasat nikal rahi he aur itni fursat bhi na milti ke namaaz ke waqt ke shuroo se akheer tak wudhu aur namaaz parh sakti he najaasat ke nikalne ka baghayr, to har namaaz ke waqt ke shuroo me wudhu karle aur woh wudhu baaqi rahegi poora waqt keliye jab tak ke koi doosri naaqidh-e-wudhu na hoti.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)