Shaadi ke ba'd sona ki zakaat kis ko adaa kare

Q: Meri shadi me meri biwi ko unke ghar walo ne kuch sona (gold jewellery) diya tha aur mere ammi ne bi kuch sona (gold) diya tha. Ab shadi ko ek saal hochuka he zakaat adaa karna he.

1. Sona kis ki milkiyat me he? Mere ya meri biwi ke ya hum dono ka he?

2. Zakaat kis ki taraf se ada karna? Mere ya meri biwi ki taraf se ya hum dono ki taraf se?

A:

1. Jab biwi ko diya gaya to milkiyyat biwi ki he.

2. Biwi ki taraf se ada karle us ki ijaazat le kar.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)