Namaaz ke ba'd sar par haat rakh kar istighfaar parhna

Q: Faraz namaaz ki adayege ke foran baad jo zikar kiya jata he uska durust tareeqa kis tarah se he. Meri muraad is se ye he ke sar par haath rakh kar istighfaar parhna zaroori he ya waise bhi parha ja sakta he?

A: Istighfaar to har tarah se parh sakte aur har qism ka zikr kisee tarah se bhi parhna durust he. Peshaani par haath rakh kar zikr karna dharoori nahi. Albatta ye dua parh sakta he haath peshaani par rakh kar:

بِسْمِ اللهِ الَّذِيْ لا إلٰهَ إِلاَّ هُوَ الرحْمٰنُ الرَّحِيْم ، اَللَّهُمَّ أَذْهِبْ عَنِّي الْهَمَّ وَالْحُزْن

(Amalul Yowmi wal Laylah - Ibnus Sunni)

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)