Becheni ke liye naseehat

Q: Aap se arz karna tha ke mujhe kaafi maheene se ajeeb kayfiyyat ka shikaar hu. Internally pata nahi kya hogaya he. Beycheni rehti he. Har waqt kisi kaam me dil nahi lagta zehni sukoon aur internal satisfaction nahi hai kisi qisam ka faisla kertay waqt ajeeb zehnai koft aur preeshani ka shikar rehta hun. Samaj nahi aata jo kaam socha he wo karun ya na karu raaton ko neend bhi nahi aati. Dil mutmain nahi hota kya hogaya he? Baaz awqaat dil kerta he zoor zoor say ro. Meri waalidah bhi nahi he jin se bol kar dil hulka kar sakun. Mujhey koi dili aur zehni sukoon ka wazifa bata de aur is ke liye bhi ke mujhey faisala karne ki taaqat bhi ajaaye?

A: Aap ziyaadah der tanhaai me na betho aur waqti tor par koi fesla karna ho to kisee hoshyaar aqal mand se fesla karao.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.