Chori ke ba'd taubah karna

Q: Mai ne college life me bohot se logon ke sath misbehave (chori, dast drazi) kiya. Mai maafi mangna chahta hoon par main unhen nahi janta wo koun the kahaan milegay to Shariat ka kiya hukam he?

A: Jin logo se aap ne chori ki, agar aap ko maloom nahi he ke wo kaha rehte to churaaye howi cheezo ko kisi gareeb ko sadaqah me de de un ki taraf se. Agar churaaye howi cheeze aap ke paas nahi he, to un churaaye huwe cheezo ki qeemat ko sadaqah me de un ki taraf se aur Allah Ta’ala se tawba kare apne ghunaaho se.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)