Quraan ke lughwi or istilaahi ma'na

Q: Quraan ke lughwi or istilaahi ma'na kiya he?

A: Qur'aan dar asal "قرأ يقرأ" se nikla he jiska lughawi ma`na "jama karna" he. Phir ye lafz "parhne" ke ma`na me istimaal hone laga. Aur lafz Qur'aan eik masdar he aur masdar kabhi isme maf`ool ke ma`na me istimaal hota he. Chunaanche kalaamullah ko Qur'aan isee ma`na me kaha jaata he, ya`ni "parhi huwi kitaab".

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)