Bank se paise waapis karna

Q: Mere ek dost London, U.K reh kar aaye he. Wo waha student visa par gaye the aur bari pareshani huwi job milne me aur jitne paise kamate visa renewal me chale jate aur us waqt student visa ke rules change hone se kaafi paise kharch karne pare unko.

Mere dost ne tay kiya ke wo wapis India ajayenge aur aate waqt waha ke banks aur credit card companies se loan liya wapis na karne ki niyyat se kyu ke wo apna paisa aur waqt guzra mushkil halat se uski bharpai bolkar paise le aye.

Abhi kuch 8 saal guzar gaye he, unhe lagta he unhone ghalat kiya aur abhi pachta rahe he. Dikkat ye he ke abhi unko pata nahi ke unka loan maaf huwa k nahi, kai baar bahar ke mumalik me loan ada nahi karne par kuch saal baad loan maaf ya write-off hojata hai, aur ye bhi hosakta he ke bank aur credit card walo ne ye loan kisi aur company ko wusul karne diya ho aur phir isi tarah kai company/agents ko ye kaam saunpa gaya hoga aur unhe nahi malum ke sudh jodhkar kisko kitna dena he. Agar wo contact karte bhi he to ek aur pareshani ye hosakti he ke unko pata chal jayega ke ye janab India me he aur ghar tak pahuch kar pareshan karne ki naubat asakti he. Un paiso se unhone 2 makan liye the, kuch paise he aur kuch kharch hogaye.

Ab ye jaanna chahte he ke kya wo bank walo se rabt kare aur unko paise ada kare ya koi aur surat ho sakti he?

A: Jitna usne liya utna wapis karna chaahiye. Dharoori nahi ke woh apna naam bataade. Paysa waha sirf bhejde.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)