Aurat ka talaaq dena

Q: Agar koi biwi larai jagre ma apne shohar se kahe ke mujhe nahi rehna aap ke sath aap mujhe chor de or bol de wo 3 alfaz. Shohar biwi ko talne ke liye kahe me nahi bolta tum bol do. Shohar ko aisa guman ho ke jis tarah shohar ke bolne se talaq ho jati ha isi tarah aurat ke bhi bolne se ho jati ho. Isi ghalat fehmi me wo apni biwi se kahe ke tum bol do or biwi kahe k nahi mere bolne se kuch nahi ho ga aap bol de or shohar kahe nahi tumhare bolne se bhi ho jaye ga kyun ke aisa lagta ho ke aurat ko bolne se ho jati ho. To kiya talaq ka haq tafweez ho jata he aurat ko aisa bolne se?

A: Agar biwi ne shohar se keha ke me ne aap ko talaaq dedi, to talaaq waaqi nahi huwi. Khwa shohar ke kehne par us ne aisa bola ya khud bola, dono surat me talaaq nahi huwi. Lekin agar shohar ke kehne par biwi ne kaha ke me ne apne aap ko talaaq dedi, to talaaq waaqi hogi. Talaaq biwi ke upar aati he, shohar ke upar nahi aati.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Category: