Pichle saalo ki zakaat adaa karna

Q: Mene 2 saal se sone ki zakaat nahi di kiyun ke mujhe sone ka nisaab maloom nahi tha ab pata karwa to 7.5 tola se oper sona he mere pass.

1. Kiya ab me pichle 2 saalo ki zakaat de sakti hu?

2. Ek sath deni hogi ya alag alag kar ke du?

3. Zakat masjid me ya kisi hospital wagera ko de sakte he?

A:

1. Jee haa, balke dena fardh he.

2. Jis tarah se bhi ada kare woh ada hojaayega.

3. Zakaat to gareebo ka haq he. Ghareeb ke haath me pohonchna dharoori he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)