Khwaab ki Tabeer

Q: Mene aj khaab me dekha k me ek market me hun then achanak wo markt Masjid-e-nabwi me tabdeel hojati h or me nabi paak ki jalion k pass khari ho kar dua mangti hun hath utha kar k Allah muje exams me pass kerde. Me itni shiddat se dua mangrahi hoti hun k meri hathon ki fingers se flame (jese lighter se aag nikalti hai) nikalna start hojate hen. Then meri aankh khul gai. Mera b ayk result ane wala hai kuch dino me. Can you tell me truely the tabir of my dream.

bismillah.jpg

A: Khaawb ki ta'beer ye he ke aap apne paanch waqt ki namaazo ku waqt par parhne ka ihtimaam kare owr apne ma baap ke saat hamesha farmabardaar rahe owr neak zindagi guzaarne ki ziyaadah fikar kare. Jesa dunya ke undar imtihaan hota he owr har har ayk us imtihaan me pass hone ka fikar mand he, issy tarah aakirat ka imtihaan bhi aane wala he. Us ke lia dunya se ziyaadah fikar owr tayyari karna chahie. 

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Category: