Na mahram mard se baat karna owr ghalat talluq rakna

Q: Mai buhut bari gunaahgaar hun. Mai nay apnay shohar ka dil doosri dafa buhut buri tarah say thora hai, mai aesa nahi chahti or na hi ye jaan k karti rahi lakin pata nahi mujh say kyun ye dobara sarzad hua. Mai apnay shohar k peet peechay doosray mard say baatein karti thi or ye shadi k baad doosri dafa hua hai or dono dafa mai pakri gaye. Is dafa mera shohar mujhay maaf bhi nahi kar raha, mera shohar buhut hi shareef or acha insaan hai, mufti sb mai abhi bhi osay poora sach nahi bata paa rahi kyun k wo mujhay chor dai ga. Mai os k saath rehna chahti hun, mai sirf os say mohabbat karti hun, mujhay koi wazifa batayen k mai gunaaho say bachi rahun. Mai nay Allah say sidq-e-dil say tauba kar li hai, kasam thornay ka kaffara bhi ada kar rahi hun, mujhay koi wazifa batayen k mera shohar mujhay maaf kar dai or hamari zindagi theek ho jaye. Maali haalat bhi buhut kharab hain or meri do bachiyan hain wo bhi mujh say dur hain. Please madad farmaye. 

bismillah.jpg

A: Dil se sacha towbah karlo ke aainda aap kisi na mahram mard se baat nahi karengi owr koi ghalat talluq us se nahi rakhengi. Shohar ke huqooq poora kya kare owr apne zindagi ku sunnat waali zindagi ke mutaabiq guzaar liya kare. Har namaaz ke ba'd ya wadoodu kasrat se parhe.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Category: