Abortion karne ke bad tawbah

Q: Me ne 5 mahine ka bacha abort karwaya. Bache me deformity thi cleft lip aur cleft palate. Doctor ne kaha ke bacha dimagi bemaar hosakta he. Lekin karwane ke bad bohot nafrat hogayi apne aap se. Taubah aur istighfaar karti hu. Ainda nahi karne ka irada bhi kiya. Bus kisi ne bataya ke 2 mahine roze rakhna hoga lekn aurat ke khaas ayaam me nahi hosakta. Toh kiya me us doraan roze chor ke phir se continue karsakti hu? 

A: Waaqiatan ye to bara gunaah he. Taubah kare aur jis tarah se bhi roze se ya sadaqah dene se Allah Ta`ala se muaafi maange.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)