Job haasil karne ke liye rishwat dena

Q: Agar ek shakhs Master Degree holder ho. Finance ke sath aur latadad dafa govt jobs ke liye apply kar chuka ho paisa bhi zaya kar chuka ho fees ki mad me, calliber or experience bhi ho tests pass bhi he lekin sifarish ya paiso ke na dene ki wajah se job se mahroom hojaye, aur over age hone ke khadsha ho to kiya aisi surat me govt job ka husool ke liye paisa dena rishwat ke zamre me ayega aur jaiz he ya nahi?

A: Rishwat na de. Rishwat haraam he. Namaaz ke bad Allah Ta'ala se dua kare ke Allah Ta'ala aap ko halaal rozgaar naseeb farmaae.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)