Qasam torna aur haraam ta'alluq rakhna

Q: Ammi ne mujhse ek dafa ek qasam uthwai ke jo puchu sach batana kiya tum kisi larke se baat karti ho phir us se pehle me us se breakup karke bethi thi to ammi se me ne kaha nahi aur bad me mujhe khayal aaya ke mujhe phir bhi bata dena chahiye kahi jhoot na hojaye to me ne sab sach bata diya phir ammi ne mujhse baqi sawal ki ke kiya karta tha kaun tha ye woh usme se me ne kuch bate jhoot boldi aur kuch sach kiyun ke abto baat hi nahi hora hi thi phir kiya woh bhi qasam me shamil hogaya jo bad me ammi ne pucha us waqt to mujhe andaza nahi huwa phir bad me jab mujhe ehsaas huwa ke aisa hogaya he to me ne bad me ammi ko sab bata diya kiyun ke me ne jaan boojh ke jhoot nahi bola tha. Kiya iska gunah he?

A: Qasam torne se ziyaadah badtar aysa haraam ta`alluqaat rakhna paraaya aadmi se. Fowran uska taubah karlo. Agar tu ne us larke se ta`alluq bilkul khatam kya apni waalidah ke poochne se pehle to qasam to nahi tooti.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)