Qasam ka kaffara ayk shakhs ko dena

Q: Agar koi Quran ki qasam khaye ke ek kaam nahi karega aur torh de to uska kaffara me 10 logo ko khana khilana ya muafza dena hota he? Kiya hum wo total amount kisi ek mustahiq ko nahi desakte ek sath jisko zaroorat ho? Aur ye batade k 10 logo he to ek shaks ka kitna dena parega?

A: Aap eik miskeen ko nahi de sakte. Qasam towrne ka kaffara ye he ke aadmi das miskeeno ko kapra pehnaai us qadr kapra jis me namaaz ho sakti ya das miskeeno ko sadaqatul fitr ke miqdaar ke baraabar paise dow. Agar kisi ko is par qudrat ne ho, to teen din musalsal roza rakhe kaffara ki niyyat se

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)