Zikr zubaani ya dil me karna?

Q: Mera sawal zikar Allah se he, kehte he ke zikar zuban se karna chahiye. Me zuban se bhi karti hu phir ziyada tar me dil ma karti rehti hu aur dil me karte huwe sunti bhi hu. Mujhe sunnai deta he jo kuch me parhti hu. Kiya yeh saheeh amal hw? Ya zuban se hi zikar karna chahiye?

A: Dono tarah se zikr saheeh he. Albatta jo tasbeehaat namaaz ke muta`allaiq ho ya namaaz ke andar ho ya masnoon duaaye ho usko zubaani hee parhna chaahiye.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)