Quraan ka tarjumah kisi tajrabah kaar aadmi ki nigraani me seekna

Q: Meri koshish hoti he ke me kaam se kaam din ma khatam karlu aur me ziyada se ziyada 5 se 6 din ma khatam kar leti hu Quran samajh kar jaldi jaldi nahi parhti. Saal pehle me ne tarjuma sikha tha Quranic words ka Allah ki madad aur karam se ab parhti hu to sab words ke meaning samajh leti hu bina tarjuma dekhe, sawal yeh he ke mera parhne ka tareeqa saheeh he?

A: Eik he tilaawat aur eik he tarjumah. Ye do alag fareedhe he. Tarjumah keliye behtar he ke koi tajrabah kaar jo Quraan ka tarjumah ko khoob jaanta ho uski nigrani me seekha jaaye.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)