Masbooq kaise namaaz poora kare?

Q: Agar koi jamaat namaaz me mil jaane ke baad pata chala ke 1, 2, 3 ya 4 rakaat chuk gaye to phir namaz kaisa parhi jaaye? Aur har rakat may kaisa parha jaaye?

A: Agar eik rakaat chut gayi to imaam ka doosra salaam ke ba'd khare ho jaaye aur shuroo me thana parhle, phir surah faatihah aur surah aur namaaz ko poora karlo. Agar do rakaat chut gaye to imaam ke salaam karne ke bad do rakaat parhle aur sirf doosri rakaat ke bad tashahhud me beth jaaye. Agar teen rakaat chut gaye to imaam ke salaam karne ke bad eik rakaat parhle aur tashahhud me bethe. Tashahhud poora karne par doosri rakaat keliye khare ho jaaye aur uske saath teesri rakaat bhi milaaye. Phir teesri rakaat ke bad namaaz ko khatam karle. Aur agar chaar rakaat chut gaye to imaam ke salaam karne ke bad khare ho karke chaar rakaat parhle.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)