Haqq-e-talaaq apni biwi ko dena

Q: Kiya Islam me aisa koi law he ke me divorce ke haq se totally relinguish ho jaun aur ye haq apni wife ko de du. Yani divorce ka haq mere pas na rahe balke mere biwi ko mil jaye. Kyun ke me bohot ziada whispers se suffer kar raha hu jiski waja se extreme depression me chala gaya hu.

A: Agar shohar chaahe to wo biwi ko talaaq dene ka haq de sakta he. Lekin shohar ka haq e talaaq katam nahi hota he. Agar wo talaaq de to talaaq waaqi hogee. Aap wasaawis ki taraf diyaan na de aur laahowla wala quwata illa billa ko kasrat se parhe.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Category: