Ghusal me kulli karte waqt pani kaha tak pohochana chahiye?

Q: Ghusal me kulli karte waqt pani kaha tak pohochana chahiye? Waise mujhe pata he gale ki naram haddi tak pohochana chahiye lekin mujhe yakeen nahi hota ke pani naram haddi tak pohonch gaya he. Is liye me 5-6 baar kulli karta hu aur mujhe lagta he jaise mera ghusal nahi hua.

A: Agar roza se na ho to khoob achchi tarah se ghargharah karo halq tak. Agar roza se ho to ziyadah mubaalaghah ke saath kulli na kare na halq ke qareeb paani pohonchaade.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)