Ek saal khatam hone se pehle zakaat dena

Q: Kiya zakaat ek saal hone se pehle kisi zaroormand ko di ja sakti he? Ye zakaat gold ki moujooda qeemat par ya ek saal baad wali qeemat per di jaye gi?

A: Agar kisi ke paas nisaab ke beqadar itna maal ho is par zakaat waajib he to saal poore hone se pehle bhi kisi gareeb musalmaan ko de sakta he. Lekin us ko chahiye ke us ka hisaab rake. Jab us ki zakaat ka saal poora hojaai to usi tareekh par wo dekhe kitna maal us ke paas he aur gold ki qeemat usi waqt dekhle. To us tareekh par kul maal ke 2 .5 % maal zakaat me dede. Saal me jis qadar zakaat us ne ada kiya, agar wo miqdaar 2.5% ke baraabar he to us ne apni zimmedaari ada kardi. Lekin agar wo miqdaar 2.5% se kam tha to baqiya miqdaar us ko ada karna zaroori hoga.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)