Ajnabee aurat ke saat purdah zaroori hai

Q: Main in dino main ek bohot bari uljhan main hun kahin yeh uljhan meri maut ka sabab na ban jae. Meri problem yeh hai k main ne jis larki se shadi karni hai main us se almost saara din baat karta rehta hun aur saaray din jo be wo karti hai pata chalta rehta hai. Mujhe pata nahi ku lagta hai k wo apnay bap k sath sex karti hai. Us k ghar main ac lagay huay hain aur sab nechay sotay hain. Phir wo aur uska baap chat pe ja k sotay hain separate us k bap aur maa ki talaq ho chuki hai jb wo sirf 11 saal ki thi. Aaj wo 25 sal ki hai. Raat ko jab wo apnay baap k sath soi hoti hai to mujhe sex ki aawaazain ati hain. Aaj b same aisa hi hua aur main ne aaj us se kaha k yeh aawaazain kaisi ati hai jab tum abu k pas hoti ho normal routine main nahi ati. To usne kaha k han tum keh do k main apnay bap k sath sex karti hun aur wo naraz ho gae aaj meri haalat bohot buri hai. Main so nahi pa raha sonay lagta hun to uski aawaazain meray kaanon main goonjti hain mujhe nahe samajh aa rah. Main kya karun? Iska koi haal bataen Allah k wastay kahin yeh na ho k main apni jan de dun yeh bat mujhe bohot sata rahe hai.

bismillah.jpg

A: Wo auwrat aap se ajnabiyah he. Aap ke nikaah me nahi he. Lihaza pardah karna us ke saat zuroori he. 

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)