Kaam karne ke doraan chutti lene se kiya us waqt ka tankhwa waapis karna?

Q: Agar me kisi office me job karta hu aur duty ke doraan apne in charge ya manager se chutti le kahee 1 ya 2 ghanto ke liye jata hu to kiya me us din ki poori salary mujh par halaal he ya haraam he?

A: Aap manager ya jo is company ka in charge he usko bataade ke fulaa din manager ki ijaazat se chala gaya to jis qadar paysa tankhwa se nikaalna manzoor ho to us qadar nikaala jaaye.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)