Ghusal ke bad ek do qatre khoon aana

Q: Aur agar ghusal ke bad ek do qatre khoon aa jaye periods ka, to ghusal dobara karna hoga?

A: Agar ye haidh ke aksar muddat ke bad aaye to ye istihaaza hoga aur istihaaza me ghusl ki tajdeed ki dharoorat nahi. Aur agar das din se kam me haidh khatam huwa aur ghusl karne ke bad phir qatraat aaye aur agar ye aaye eik ya do din tak ba shart ye ke woh das din se kam ho to kaha jaayega ke aadat ab badal gaya aur uske khatam hone par phir ghusl karna hoga.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)