Shirk ka wada lena

Q: Agar insan se wada hojaye k aisa kam karo to shirk man liya jaye to kiya waisa kam agar wo bar bar karega to bar bar shirk ho ga ya sirf 1 bar hi shirk ho ga aur baqi bar waisa kam ka jitna gunah hona chahiye utna ho ga? Agar us se aisa wada ho gaya ke bar bar waisa kam karne se shirk ho ga to ab wo kis tarah Allah ko kahe ke ya Allah ghalti se wada ho gaya aap wo wada na manye mujhse nahi pura ho sakta.

A: Jis kaam ke baare me us ne ye bola, agar wo kaam jaaiz tha to us ke karne se shirk nahi hoga aur agar wo kaam na jaaiz tha, to na jaaiz kaam ko shirk kehne se shirk nahi hoga. Lekin agar aadmi ne gunaah waala kaam kiya to sache dil se taubah kare aur pukhta azam kare ke aainda wo aisa kaam nahi karega. Issi tarah is tarah ki baato se parhez kare ke agar me ye kaam karo to shirk hoga. Ye jahaalat aur be wuqoofi he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)