Kiya Islam me koi beemari phel sakti he?

Q: Koi bimari muta'adi hosakti he? Kiya Islam me koi beemari phel sakti he?

A: Koi cheez Allah Ta`ala ke hukm ke ba ghayr nahi hoti. Albatta dunya me ba'dh cheeze yaqeeni he jayse kisee ne haath ko aag me daala to yaqeeni tor par woh jal jaayega. Beemaari he, gaari aur hawaai jahaaz he in cheezo se bhi maut aa sakti he lekin ye mahaz eik ihtimaal he. To is ihtimaal ki wajah gaari chalaana ya hawaai jahaaz me safar karna, koi banda us se nahi rukta he. To beemaariyo ka yahi haal he ke agar Allah ne chaaha to woh doosro ko lag sakta he lekin koi yaqeen nahi.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)