Bank me kaam karna

Q: State bank of Pakistan me nokri karna kaisa he? Agar duty me sood likhna/kaatna shamil ho? Agar shamil na ho? Income ka zariya sood mana jaega ya hukoomti khazana? 

A: Har musalmaan janta he ke bank ka karobaar haraam he. Raato din soodi muamalaat hote rehte he aur is se musalmaan ki dunya wa aakhirat tabaah hoti he. Allah Ta`ala ki taraf se lanat hoti he is qisim ke karobaar karne waalo par. Lihaza bank ki nokri jaaiz nahi he. Aap kisi aur jaga halaal nokri talaash kare.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)