Khaawind ko doosre nikaah karne ke liye pehli biwi ki ijaazat lena

Q: Mery 5 bache he aur mere husband ne ab aa ke doosra nikah kar liya he. Wo bhi meri ijazat ke bina.

Aur jis se nikah kiya he wo bhi pehle se married he phir mere husband ke sath nikah karne ki waja se uske pehle husband ne us se talaq de dee he. Wo mujhe nahi pata ke legal dee he ke zubani dee he.

Us ke ghar walo ko bhi nahi pata, naa hi Maa baap ko naa hi bhaio ko.

Mery husband national bank my job karte he aur wo aurat sunhari bank my kaam karti thi. Mere bache ab khud shadi ke laaik he aur mere husband ne ye kaam kar liya he.

Me un ke is nikah ko bardasht nahi kar sakti. Aap koi aisa solution bataye ke in dono ki talaq ho jaya? 

A: Khaawind ko doosre nikaah karne ke liye pehli biwi ki ijaazat lena zaroori nahi he. Lekin doosre nikaah karna ke bad shohar ke liye zaroori he ke wo apni dono biwiyo ke darmiyaan raat ke baariyo me aur doosre huqooqe zowjeeyat me insaaf kare. Logo se nikaah ku chupaana, shariat ke hukam ke mutaabiq nahi he.

Agar aap ke khaawind aap ke huqooq poora kar rahe he to aap ke liye tora sabr kar ke un ke saat khushi se rehna behtar hoga. Ab jab aap ke khaawind ka doosra nikaah hogaya, to aap keliye doosri biwi ki talaaq sochna jaaiz nahi he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)