Marne ke bad, rooh ko aasmaan me jaana

Q: Kiya marne ka bad insaan ki rooh aasman pe kahi chali jaati hai ya qabar me jaati uske saath?

A: Hadith shareef me aaya ke intiqaal ke bad, mu'min ki rooh ko farishte saatwe aasmaan ke oopar le jaate he yaha tak ke wo Allah Ta'ala ki rahmat milti he. Phir Allah Ta'ala farishto ko hukum dete he ke us ki rooh ko apne qabar ki taraf le jaawe. Leikin agar kaafir ka intiqaal hojaaye, to farishte aasmaan ki taraf oopar le jaate he leikin aasmaan ke sab darwaaze band hote he aur hukum aata he ke us ko qabar ki taraf le jaaya jaaye.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)