Khana ka waqt Quraan Shareef ki tilaawat mobile par chalana

Q: Abhi khana khate huwe meri choti behen mobile me Pakistani serial dekh rahi thi to mene unse mobile le kar rakh diya ke chupchap khana khao. Tabhi ammi boli ke mobile me Surah Rahmaan chala lo. To mene bola ke khana khate huwe kuch chalana zaruri hai kya? To kya mere aisa kehna kalma e kufr hai kya? Mujhe apne ghar walo ke saamne tauba karni chahiye ya akele me tauba karu? Mene jab ye bola to me dar gaya kahin ye kalma e kufr to ni hai isliye mene Surah Rahmaan chala di.

A: Nahi. Balke ye saheeh tareeqah he ke Quraan ki tilaawat jab ki jaye to aur kalaam choro. To aap saheeh tha ke is waqt kha rahe he to Quraan ki tilaawat ki taraf saheeh tor par dhiyaan nahi diya jaa sakta to kisee aur waqt sunenge.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)