Shohar ke intiqaal ke bad haqq-e-mahar aur shaadi ke sona ki taqseem

Q: Mere shohar ka intiqal ho chuka he aur iddat mukammal ho chuki he. Mere shohar ne mujhe haq meher ke allawa mooh dikhai par ek set pehenaya tha aur 6 churriyan walime par pehenai thi jo ke susral wale kehte he mushtaraka thi. Ab wo mera mooh dikhai ka set mere shohar ne jitne bhi sone ke tuhfe diye the aur churriyan wiraset mein taqseem karne ko keh rahe hen. Mere susral wale kehte hen ke haq meher ke allawa sab sona wiraset mein taqseem ho ga warison mein, bewa aur maa baap shamil hen. Aur salamiyon ke paiso ki mala banwai thi susral walon ne wo bhi le li ke hamari taraf se salamiyan ziyada thi. Quraan o hadees ki roshni mein meri rehnomai kare ke kiya ye sab tuhfe wiraset mein taqseem hote hen ya meri milkiyet he. Mere maa baap ne mere shohar ko 2 angothiyan ek rado ki gharri saas ko sone ka set nend ko sone ki angothi aur susar ko gharri pehenai thi. Is mein bhi meri rehnomai karen ke ye sab cheezen mere maa baap ko wapis hoti hen ya nai?

A: Jitne hadya aap ke khaawind ne aap ko diya, aap un sab ka maalik he. Susraal waalo ko un ke andar koi haq nahi he. Lihaza aap un ko us me se koi cheez na de. Un ke liye tumhaare maal ke andar mutaalaba karna bilkul ghalat he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)