Takleef hone ki hikmat

Q: Naik insan ko bibi ke maut ke waqt takleef hoti he. Agar hain to us ke peechay kiya hikmat poshida he?

A: Takleef hone ye neki aur imaan ke khilaaf nahi. Albatta iski takleef ki noiyyat doosro ki takleef ki noiyyat se juda he. Iski takleef ki noiyyat kabhi raf'e darajaat keliye he aur kabhi intihaa darje ki khushi ki wajah se unko kuch takleef hoti he, jis tarah se parindah jo pinjrah me ho aur woh apne dost ko dekhle to woh kis qadar khush hota he aur pinjre se nikalne ki kis qadar khwahish rakhta he aur usee me usko takleef bhi ho jaati he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)