Bete ki tarika ka taqseem

س: میرے بیٹے کا انتقال ہو چکا ہے اس کا ایک فلیٹ ہے جو میرے نام پر ہے اسے کس طرح تقسیم کریں

میرے بیٹے کی ایک بیوی ایک لڑکا ایک لڑکی اور میں بیوہ ماں ہوں

A: Agar flat sirf aap ke naam par tha leikin aap ka nahi tha, balke aap ke beta ka tha, to flat un ke tarika me daakhil hoga aur un ke wurasa ke darmiyaan taqseem kya jaayega (un ke doosre maal ke saath) un ke meerath ke sharee hisso ke mutaabiq. Agar wurasa flat ko farokht kare aur us ke paise ko aapas me taqseem kare to ye bhi theek he aur agar flat kiraaya par the, aur paise aapas me taqseem kare, to ye bhi jaaiz he. Dono soorat me paiso ki taqseem wurasa ke sharee hisso ke mutaabiq hogi.

Agar mayyit ke intiqaal ke waqt unke wurasa me sirf eik biwi, eik bethi, eik betha aur ma, to uski meeraas 72 hisso me taqseem ki jayegi aur is tarah aapas me baant diye jayenge:
Mayyit ki waalida - 12 hisse
Biwi - 9 hisse
Beta - 34 hisse
Beti - 17 hisse

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)