Namaaz me agar rakaat bhool jaye to kiya kare?

Q: Namaz me koi rakat bhool jaye phir kaise namaz adaa kare? Namaz me completely dhiyan rahe best way bata de.

A: Aap ghalabah gumaan par amal kare. Jis jaanib gumaan ghaalib ho usee jaanib par amal kare. Aur namaaz me dhiyaan rakhne ki eik aasaan soorat ye he ke soch le ke Allah Ta`ala sun raha he aur is namaaz ke bad aap mazeed mouqa nahi milega. Sar sari tor par iska dhiyan rakhe. Kamzor ho jaaye phir isko taza karliya jaaye.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)