Taubah ki niyyat se gunaah karna

Q: Agar insaan tauba ki niyyat say gunah kare tu kiya ye durust hai? Yaani shariah hudood ka khyaal na rakhna? Yanni wo ye sochay kay Allah bohot Ghafoorur Rahim hai lihaza main jo marzi karun? Gunah tu maaf ho hi jaanay hain?

Gunah ki maafi kin bunyaad par mumkin hai?

Taqwa kaisay paida kiya jaaye?

A: Ye jahaalat he. Kisee ko kaysa itminaan ho ke poora karke phir taubah ka mouqa bhi milega ya nahi. Koi kehta ho ke me apne haath kaat lunga phir jor lunga ya chaati ko seere se kaat donga aur phir jor dunga. Kya maloom ke jorne se pehle mout ajaaye.

Marne se pehle pehle kisee ne sachchi taubah karli to taubah qubool ho jaayegi.

Marne ke bad ki zindagi ko soche, qabar ki tanhaai ko soche, thawab aur azaab jo hadeeth shareef me waarid huwa he uska khiyaal kare. Jis qadar pukhtagi aur yaqeen ke saath sochoge usee qadar gunaah chorne ki himmat payda hogi. Gunah se bachne aur uska ihtimaam karne ko bhi taqwa kehte he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)