Khandaan me shaadi karne se kiya bachche me genetic problems ho sakte hai?

Q: Mera sawal hai ki science kehti hai ki agar cousin bhai behan shadi kare aur unke bacche ho aur wo bhi cousin marriage kare aur unke bacche ho aur wo bhi cousin marriage kare toh aisa karne se paida hone wale bachho me genetic problems ho sakte hai. Jaise ki wo baccha ya bacchi andhi ho sakti hai langda ho sakta hai lekin Islam me toh Allah ne Quran me batadiya ki tum apni puphare khalre mumare bhai behan se shadi kar sakte ho. 

A: Bohot se logo ne apne khandaan hee me shaadi ki aur un ke aulaad, alhamdulillah, theek he. Lihaza agar ye koi qaaida ki baat hoti, to sab ki aulaad bimaar hote.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)