Office ko photoshoot ke liye kiraayah par dena

Q: Hamare paas ek jagah hai office space jiske malik ham hai aur wo abhi khali padi hai...rent pe gayi nahi hai...Ek aise shaks aaye hamare paas jo production house mai kaam karte hai unko jagah rent pe aise chahiye per day ke hisab se jabhi wo office space istemaal kare..Unke kaam ki noiyat aisi hai ke wo photo shoot karte hai aise models wagerah ka logo ka jise tasveer nikalni hai aksar to vo digital tasveer nikalte hai to ye rent pe unko dena hamare liye halal hoga ya nahi? Kya ham unhe office rent pe de sakte hai?

A: Photo shoot aur tasweer banaane ka kaam jaaiz nahi he. Ye kaam moojib-e-lanat he aur hadeeth Shareef me aata he ke qiyaamat ke roz sakht tareen azaab tasweer banaane walo keliye he. Jahaa tasweer rakhi jaati wahaa par malaaikah-e-rahmat nahi hote. Lihaza apni jagah ko is kaam ke liye kiraayah par dena jaaiz nahi he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)