Salary par zakaat

Q: Goverment mulaazim ki 1 year salary jo nisaab (zakaat) se ziyada ho us par zakaat farz ho gi? Kyun ke salary ki raqam tu waqfa waqfa se aati he aur yeh ke aik bar jis raqm ki zakaat de di gayi kya ainda do barah phir aglay sal us par zakaat farz ho jaye gi?

A: Zakaat ke saal ke khatam hone ke oopar aap dekhle ke aapke paas kya raqam he aur kya kya zakaat ka maal he. Uske hisaab laga karke zakaat ada kare. Agar nisaab-e-zakaat ko phonch jaaye to zakaat adaa karlo.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)