Nikaah ka matlab

Q: 

1. Islam me mard aurat ko mehar de kar apni biwi banani hoti hai, aur mard kehte hai ham ne paise dekar kharida hai. To kya aurat ko paise dekar kharidi jaati hai? 

2. Kya aurat shohar ki ghulam hai jo usku shohar ki har baat manni parti hai? 

3. Aurat ko talaq dene ka haq kyu nahi hai?

A:

1. Ye ghalat he. Aazaad aadmi ko khareedte nahi aur na khareedna jaaiz he. Mahr nikaah karni waali aurat ka haq he.

2. Ye sab ghalat fehmi ki wajah se aap is tarah se keh rahe he. Nikaah eik ibaadat he eik mahabbat ka ta`alluq he eik zimme daari he. Mard ki zimme daariya he aur aurat ki bhi zimme daariya he. Jab mahabbat aur fehm saheeh ho to zimme daari ko poora kar paayenge aur agar mahabbat aur fehm saheeh na ho to ghalat aadmi usko ghulaami se ta'beer karega. Dharoorat he ke woh apni samajh ko saheeh kare aur doosro ko aur khood apne ko gumrah hone se baaz aaye.

3. Jis tarah se mard ko bachche janne ka haq nahi jisne mard ko aysa banaaya ke bachcha janna nahi sakta to usee ne kaha ke aurat talaaq dene ka haq nahi.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)