Insaani balon ki wig laga kar wudhu kar ke namaz parhna

Q: Agar koi insaani balon ki wig laga kar wudhu kar ke namaz parh le to kiya namaz hojaye gi?

A: Insaani baalo ki wig lagaana jaaiz nahi he. Hadith Shareef me sakt waeed aayi he us aadmi ke liye jo insaani baal ki wig istimaal kare.

Agar koi aadmi aisy wig par masah kare, to masah durust nahi hoga. Jab masah durust nahi, to wudu poora nahi hoga. Jab wudu poora nahi hoga, to namaaz nahi hogi.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)