Kisi ko ghar dene se woh meerath me daakhil nahi ho ga

Q: Mere mamo ne meri nani ko shadi se pehle 1 ghar le kar diya tha jo meri nani ke naam par hai. Ab mamo inteqal kar chuke hai or nani ke sirf 2 hi bache the ek beta or ek beti. Ab mamo ke inteqal ke bad unki biwi or bache nani ke ghar me se hisa mang rahe hai. Unka kehna yeh hai ke yeh ghar hamare baap ne dilaya tha.

Aap shariat ke lihaz se bataye ke is ghar ka asal owner kon hai or kya dadi ki property me potay ka hissa banta hai yah yeh ghar dadi apni beti ko de sakti hai kyun ke ab bete ke bad beti hi aulad me rehti hai.

A: Agar maamo ne ghar ko naani ke liye kareeda aur kareedne ke bad naani ko poore tor par de diya to ghar naani ki milkiyat me daakhil ho gaya. Maamo ki biwi aur us ke bache ko naani ke ghar me koi hissa aur haq nahi he. 

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)