Sayed larki se ghar ka kaam karwana shaadi ke bad

Q: Main ghair Sayed hu or meri shadi Sayed zadi se honi ja rahi hai. Shadi ke bad un se ghar ka kaam karwana, jesy ke jaarru pocha bartan waghera dulwana kaisa hai? Joint family ke itibaar se, na ke shohar ki had tak, matlab (apny joothy bartan dhona) or (susral walon ka bhi dhona), ke itibaar se.

A: Aasaan tareeqah ye he ke woh khud apni zimme daariyah soch karke karegi. Hadhrat Faatimah (radhiyallahu anha) se barh kar konsi aurat buland ho sakti he. Hadeeth shareef bataati he ke woh khud jhaaru deti thi, paani nikaalti thi kunwa se aur who kisee qism ka sharam mahsoos nahi karti thi.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)